Jaan buj kar..
Thak gaya hoon sahi hokar, ab thodasa galat hona hain
Jaan bujh kar koi bhool karke muje uska mazaa lena hain
Jvar ke darr se ab tak main, barsaat se bachta aaya
Lekin saawan me jhumne ka anand kabhi na paaya
Chori karna hai buri baat.. hamesha ye maine maana
Lekin ped se aam churakar ek baar hai mujko khaana
Madira ke savan se hai hoti.. swaastha ko kaafi haani
Lekin jaam me dubkar, kehni hai muje bhi ek kahaani
Badhti hui umar ne mujse, mera bachpana cheena hai
Ab wapas kuch der mujhe phir, shararti banke jeena hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment